Aik tareekh muqarrar pay to har mah miley

umair najmi


aik tareekh muqarrar pay to har mah miley

jaisay daftar mein kisi shakhs ko thankhowa miley


rang akhar jaye to zahir ho palastar ki nami

qehqeha khoud ke dekho to tumhe aah miley


jama thay raat marey ghar tre tukarhe hue

aik dargaah pay sab raandah dargaah miley


mein to ik aam sipahi tha hifazat ke liye

Shah zadi yeh tra haq tha tujhe Shah miley


aik udasi ke jazeeray pay hon ashkon mein ghira

mein nikal jaoon agar khushk guzar gaah miley


ik mulaqaat ke talnay ki khabar aisay lagi

jaisay mazdoor ko hartaal ki afwaah miley


ghar pounchanay ki nah jaldi nah tamanna hai koi

jis ne milna ho mujhe aaye sir raah miley
Umair Najmi,Recent,aik tareekh muqarrar pay to har mah miley,ishq poetry,mohabbat poetry,Urdu Poetry,


UMAIR NAJMI


ایک تاریخ مقرر پہ تو ہر ماہ ملے

جیسے دفتر میں کسی شخص کو تنخواہ ملے


رنگ اکھڑ جائے تو ظاہر ہو پلستر کی نمی

قہقہہ کھود کے دیکھو تو تمہیں آہ ملے


جمع تھے رات مرے گھر ترے ٹھکرائے ہوئے

ایک درگاہ پہ سب راندۂ درگاہ ملے


میں تو اک عام سپاہی تھا حفاظت کے لئے

شاہ زادی یہ ترا حق تھا تجھے شاہ ملے


ایک اداسی کے جزیرے پہ ہوں اشکوں میں گھرا

میں نکل جاؤں اگر خشک گزر گاہ ملے


اک ملاقات کے ٹلنے کی خبر ایسے لگی

جیسے مزدور کو ہڑتال کی افواہ ملے


گھر پہنچنے کی نہ جلدی نہ تمنا ہے کوئی

جس نے ملنا ہو مجھے آئے سر راہ ملے

Post a Comment

0 Comments