Mein brush chore chuka aakhri tasweer ke baad



UMAIR NAJMI

Mein brush chore chuka aakhri tasweer ke baad,umair najmi,love poetry,sad poetry, Famous poetry,


میں برش چھوڑ چکا آخری تصویر کے بعد

مجھ سے کچھ بن نہیں پایا تری تصویر کے بعد


مشترک دوست بھی چھوٹے ہیں تجھے چھوڑنے پر

یعنی دیوار ہٹانی پڑی تصویر کے بعد

یار تصویر میں تنہا ہوں مگر لوگ ملے

کئی تصویر سے پہلے کئی تصویر کے بعد


دوسرا عشق میسر ہے مگر کرتا نہیں

کون دیکھے گا پرانی نئی تصویر کے بعد


بھیج دیتا ہوں مگر پہلے بتا دوں تجھ کو

مجھ سے ملتا نہیں کوئی مری تصویر کے بعد


خشک دیوار میں سیلن کا سبب کیا ہوگا

ایک عدد زنگ لگی کیل تھی تصویر کے بعد

umair najmi


mein brush chore chuka aakhri tasweer ke baad

mujh se kuch ban nahi paaya tri tasweer ke baad


mushtarik dost bhi chhootey hain tujhe chorney par

yani deewar hatani pari tasweer ke baad


yaar tasweer mein tanha hon magar log miley

kayi tasweer se pehlay kayi tasweer ke baad


dosra ishhq muyassar hai magar karta nahi

kon dekhe ga purani nai tasweer ke baad


bhaij deta hon magar pehlay bta dun tujh ko

mujh se milta nahi koi meri tasweer ke baad


khushk deewar mein siln ka sabab kya hoga

aik Adad zeng lagi keel thi tasweer ke baad

Post a Comment

0 Comments